Baade Sarwar phir musibat me izafa yu'n huwa
Pusht par durre lage gouhar chhine Kurta jala
Baap ka Pursa Yateemi ko tamacho'n se mila
Daagh kaise Dil pa lekar Shah ki Dukhtar Gayi
Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi
Garm reti par Pada tha Sheh ka Lasha Bekafan
Aal-e Ahmed Berida thi saath the ranjo mehan
Thi bandhi Baarah Aseero'n ke Gale me ek rasan
Shaahzadi qaid hokar berida dardar Gayi
Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi
Dard kaano me tha itna kaise neend aati kahin
Baap ka Seena nahi'n tha kaise so Paati kahin
Pyaas ki shiddat se jo behosh Hojati kahin
Maa Samajhti Shiddate Gham se Sakina Margayi
Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi
Tashnagi hi Tashnagi thi Karwa'n dar Karwa'n
Gham se jalta tha Kaleja Pyaas se sookhi Zuba'n
Ki Qayamat ki Wasiyat Hichkiyo'n ke darmiya'n
Haay Khwahish Bhai se thandi zami'n ki Kargayi
Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi
Kaun jaane Qalb-e Muztar par huwa tha kya asar
Maa ko sakta sa huwa tha aur phupi thi Naohagar
Takht par baitha tha zalim Tasht me Baba ka Sar
Apni ankhon me Liye ye Dard ka manzar Gayi
Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi
Zulm ke darbar me zalim huwa jab rubaru
Kis Ghazab ka tha wo Qutba Kis Ghazab ki Guftagu
Shaan Haidar ki Dikhadi Kamsini me Hoobahu
Zulm ka har har qadam par maareka Sar Kargayi
Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi
Bhai ke Haatho'n pa Mayyat Hai Bahan ki Aye Khuda
Ab Janaaza Uth raha hai Aaiye Mushkil Kusha
Aapki Poti Jo hai Andaaz bhi hai Aapka
Deke Paighaam-e rihaayi Khud suwe Kausar Gayi
Shaam ke zindaan me Bekas Sakina Margayi