koi misle shah e deen ho to aaye
zaeefi may jawan ka daagh uthaye
uthi taazeem ko har mauj e darya
sar e saahil jun hi abbas aaye
koi misle shah e deen...
aray logon mera naushaah aaya
lahoo ki haath may mehndi lagaye
koi misle shah e deen...
kaleja thaam kar chillayi maadar
shah e deen laasha e qasim jo laaye
koi misle shah e deen...
kaho behno se aanchal sar par daale
koi naushaah ki masnat bichaye
koi misle shah e deen...
rukh e qasim se sehre ko hata do
dulhan aati hai ghoonghat ko hataye
koi misle shah e deen...
jo dehki laash akbar ki to maa ne
alam se poch ke chille badhaye
koi misle shah e deen...
kaha bano ne asghar tum kahan ho
ye maadar ab kise jhoola jhulaye
koi misle shah e deen...
aray baysheer ki koi khabar le
mera baccha lehad may darr na jaye
koi misle shah e deen...
chali aandhi falak se khoon barsa
shah e bekas lahoo may jab nahaye
koi misle shah e deen...
aray ye kya sitam hai ay layeeno
behan bhai par rone bhi na paaye
koi misle shah e deen...
samajh lo ashq jannat hai usi ki
gham e sarwar may jo aansu bahaye
koi misle shah e deen...