Koi na tha uthaata jo lasha hussain ka
Aisa tabaah ho gaya kunba hussain ka Kyu'n apni fatah par na ho naazaa'n sipaahe shaam
Maara hai cheh maheene ka bacha hussain ka
Armaan dil me aur jigar me sina ka phal
Mithi pa lot tha hai kaleja hussain ka
Wo pyaas aur wo qushk gala aur wo kund tegh
wo saqt hath aur wo tadapna hussain na
Sab apne rishtedaaro'n ki mayyat ko le gaye
Be waarisa sa reh gaya lasha hussain ka
Kya saqt waaqea hai ke jo aaj tak ghayyoor
Le le ke naam roti hai dunya hussain ka