Laahu Me Dooba Hai Sehra Ajeeb Manzar Hai
Tadaph Ke Kehti Hai Kubra Ajeeb Manzar Hai
1.Yeh Khe Ke Shab Ki bheyi Ne Chuduiyan Toodhi
Chadha Hai Rang Hina Ka Ajeeb Manzar Hain
2.Abhi Toh Haatoun Ki Laali Na Chooth Ne Paayi
Ujadh Gayi Meri Duniya Ajeeb Manzar Hain
3.Aaba Me Laash Ke Tukhde Utha Rahe Hai Hussain
Na Poch Bare illaha Ajeeb Manzar Hain
4.Aaba Me Tukhdhou Ku Rakh Kar Hussain Laate Hain
Nirali Shaan Ka Nousha Ajeeb Manzar Hain
5.Yeh Ek Shab Ki Bheyi Ke Run Me Naale Hain
Luthaa Suhaag Khudara Ajeeb Manzar Hain
6.Yakheen Aata Nahin Mujh ku Kuch Batou Toh
Main Kaise Hogayi Bewa Ajeeb Manzar Hain
7.Utha Rahe Hai Shaheedou Ke Laashe Maqtal Se Aur Is Pe Shukr Ka Sajda Ajeeb Manzar Hain
8.Sukoon Aata Tha JIsku Pidar Ke Seene Par
Wo Kharahi Hai Tamacha Ajeeb Manzar Hain
9.Na Likh Sakeyenga Naqi Rokhle Qalam Apna
Hai Dil Kharaj Yeh Lamha Ajeeb Manzar Hain