laash abbas ki sarwar se uthayi na gayi
laash tukdon may thi ek jaa pe samayi na gayi
bhai ki laash pe kehte thay ye mazloom hussain
mujhse baba ki ye tasveer bachayi na gayi
laash abbas ki sarwar se...
sheh ne akbar ko bula to liya maqtal may magar
kaifiyat bhai ki bete ko batayi na gayi
laash abbas ki sarwar se...
mashk se pani baha kat gaye abbas ke haath
tishnagi bali sakina ki bujhayi na gayi
laash abbas ki sarwar se...
ye to ghurbat hai tere laal ki ay umme rabab
warna naize pe koi laash uthayi na gayi
laash abbas ki sarwar se...
dekh kar laasha e qasim ko ye farwa ne kaha
aisi baraat kisi dulha ki aayi na gayi
laash abbas ki sarwar se...
kar diye bhai pe qurban pisar zainab ne
phir kabhi rasm ye dunya may nibhayi na gayi
laash abbas ki sarwar se...
chauda sadiyon se bahate hai samandar aansu
aag sadaat ke qaimon ki bujhayi na gayi
laash abbas ki sarwar se...
baad e shabbir hua seena ba seena matam
ghar may sadaat ke phir eid manayi na gayi
laash abbas ki sarwar se...
ran se har ek ke laashe ko utha laaye hussain
laash shabbir ki maqtal se uthayi na gayi
laash abbas ki sarwar se...
jaise maa roti hai kuch aise sakina royi
laash mazloom ki beti se chudayi na gayi
laash abbas ki sarwar se...
jis tarha ibn e mazahir ne nibhayi yasir
dosti aisi kisi se bhi nibhayi na gayi
laash abbas ki sarwar se...