Lashe Abbas pe Sarwar ne pukara bhai ×2
Chorh kar jao na shabbir ko tanha bhai
Naz tha jin pe mujhe hai wo bazu na rahe ×2
De musibat me mujhe kaon sahara bhai
Umr bhar bhai ko aqa ke siwa kuch na kaha ×2
Chashme aflak ne dekha nahi aysa bhai
Rakh ke zanu pe alamdar ka sar bole Hussain ×2
Bhai kahe kar mujhe ek bar bulana bhai
Ashk jari huwe maola ka jigar kanp utha ×2
Zhakhmi hoto pe jo Abbas ke aya bhai
Kya guzarti hai kisi bhai ke dil par manzar ×2
Jab uthaye koi bhai ka janza bhai