warid haram ka khaafila kufe mein jab hua
muslim ki laash dekh ke zainab ne ye kaha
laashe muslim pe ye zainab ne kaha ro ro kar
aap ki laash bhi be-gor o kafan hai bhaiya
be kafan kabobala mein hai mere lakhte jigar
aap ki laash bhi be-gor o kafan hai bhaiya
kaisi ye aal e payembar pe musibat aayi
ranj ye dil pe sahay kis tarha zehra jaayi
bhai shabbir ka laasha hai pada reti par
aap ki laash bhi be-gor o kafan hai bhaiya
laashe muslim pe...
yun to zinda hoo magar jaan kahan baaqi hai
ab to jeene ka bhi armaan kahan baaqi hai
haye afsoos nahi sar pe hamare chadar
aap ki laash bhi be-gor o kafan hai bhaiya
laashe muslim pe...
zulm laashon pe shaheedo ke hai yun dhaaye gaye
sar kiye tan se juda ghode bhi daudaye gaye
ab bhi taaza hai nighaho mein meri wo manzar
aap ki laash bhi be-gor o kafan hai bhaiya
laashe muslim pe...
haal dekha nahi jaata hai ruqayya ka zara
kis tarha dil pe uthayegi ye sadma dukhiya
hogaye maa se juda phool se do noor e nazar
aap ki laash bhi be-gor o kafan hai bhaiya
laashe muslim pe...
ek musafir ko hazaron ne sataya bhai
daarul ammaara se yun tumko giraya bhai
khaak par jaise gira tha bani hashim ka qamar
aap ki laash bhi be-gor o kafan hai bhaiya
laashe muslim pe...
cheenli aale payambar ki rida aada ne
zulm yun aap pe aur hum pe kiya aada ne
ab hai naaqon pe rasan basta janazon ka safar
aap ki laash bhi be-gor o kafan hai bhaiya
laashe muslim pe...
gham ka manzar wo bayan hoga shuja'at kaise
kaamp uthi laasha e muslim bhi ye naale sun ke
saath naizon pe hai hamraah shaheedon ke bhi sar
aap ki laash bhi be-gor o kafan hai bhaiya
laashe muslim pe...