Muslim ka qoon haaye musalmaa’n bahaate hai
Zahra o Mustafa o Ali ko rulaate hai
Mushkil kusha ho jis ka chacha usko ahle shaam
Be jurm haaye tauqo salaasal pinhaate hai
Tharra raha hai qabr me laasha aqeel ka
Muslim ko baam par se zamee’n par giraate hai
Muslim ki beti kehti hai ro kar Hussain se
Ae ammu jaan baba bohot yaad aate hai
Sheh sar pa haath pher rahe hai yateem ke
Behlaate hai manaate hai lo lo pinhaate hai
Bacho ka girya dekh nahi’n sakte shaahedee’n
Rote hai wo to shaah bhi aansu bahaate hai
Afsos karbala me sakina ko ahle shaam
Royi to aur ghurkiyaa’n dekar rulaate hai
Wo yu’n dilaasa dete hai binte Hussain ko
Sar shaah ka yateem to laakar dikhaate hai