Kanz e Aza

Muslim ka Qatl

A noha for Hazrat Muslim (a.s), written by Jawad Haqir. Lyrics in Roman Urdu.

muslim ka qatl hona aaghaaz e karbala hai

syed ka khoon bahana aaghaaz e karbala hai


jo tha safeer e sarwar usko shaheed karna

phir baandh kar rasan mein har raah se guzarna

laashe ko yun phirana aaghaaz e karbala hai

muslim ka qatl hona...


khat bhej kar hazaron shabbir ko bulaana

muslim se waada sheh ki nusrat ka aake karna

waade ko bhool jaana aaghaaz e karbala hai

muslim ka qatl hona...


saf baandh kar namazi sab fajr padh rahe thay

maghrib ke waqt muslim tanha khade huwe thay

aale nabi se dhoka aaghaaz e karbala hai

muslim ka qatl hona...


tanhaiyan udaasi pardes tang raahein

bache bhi kho chuke hai jo saath wo thay laaye

has has ke khoon rulaana aaghaaz e karbala hai

muslim ka qatl hona...


ek raat jab ke tehre wo aake ghar mein jaa kar

dayra bana ke ladne tab aa gaye sitamgar

wo aake ghar pe hamla aaghaaz e karbala hai

muslim ka qatl hona...


dhoka diya gaday mein muslim ko hai giraya

sar kaat ke badan ko galiyon mein hai phiraya

pamaal laash karna aaghaaz e karbala hai

muslim ka qatl hona...


dewaar khoon se tar thi sab raahein khoon se tar thi

pardes mein yun muslim ki laash dar badar thi

dushman hai saara kufa aaghaaz e karbala hai

muslim ka qatl hona...


maara gaya kumail kufe mein ye bhi pyasa

shabbir ko haqeer pyasa shaheed karna

ek jaisa zulm dhaana aaghaaz e karbala hai

muslim ka qatl hona...