Kanz e Aza

Muslim ke Dono Bete

A noha for Pisaraan-e-Muslim (a.s), written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

muslim ke dono bete jahan se guzar gaye

do shaahzade aalam e ghurbat mein mar gaye


baahein galay mein bhai ne bhai ki daal di

yun apni jaanein shaah pe qurban kar gaye

muslim ke dono bete…


pardes mein yateemon ki ghurbat ka tha ye haal

dunya se dono tashna dahan khoon mein tar gaye

muslim ke dono bete…


zaalim bhi phoot phoot ke rote thay dekh kar

darbar mein jo chand se bachon ke sar gaye

muslim ke dono bete…


junhi suna ke kufe mein bache huwe shaheed

khanjar se dil mein ghamzada maa ke utar gaye

muslim ke dono bete…


sar peet ke ye kehti thi ek beqaraar maa

dhoondun kahan unhe mere bache kidhar gaye

muslim ke dono bete…


nikle thay deen bachane bachaya khuda ka deen

muslim ke laal laut ke wapas na ghar gaye

muslim ke dono bete…


gohar wo apne noor ki khairaat baksh kar

islam ka wujood ujaalon se bhar gaye

muslim ke dono bete…