ran ko jaate huwe sar jhukaye hue
sheh ne ro kar kaha alwida alwida
aaya waqt e safar ay behan aaj hum
ho rahe hai juda alwida alwida
ran ko jaate hue...
shah bad kar behan ke galay lag gaye
aur dukhiya behan se ye kehne lage
roke kehne lage
meri mazloom pyasi musafir behan
tera haafiz khuda alwida alwida
ran ko jaate hue...
jis se darti thi tum wo ghadi aagayi
dekho charon taraf teeragi cha gayi
teeragi cha gayi
dashte pur haul mein sham hone ko hai
lo musafir chala alwida alwida
ran ko jaate hue...
le ke bali sakina ko aaghosh mein
nanhe nanhe se haaton ke bosay liye
haye bosay liye
shah ne hasrat se beti ko takte huwe
aah bhar kar kaha alwida alwida
ran ko jaate hue...
bola bemaar bete se aaqa mera
ab na aayega ay beta baba tera
beta baba tera
maut ki aahatein tez hone ko hai
aa rahi hai sada alwida alwida
ran ko jaate hue...
aaya qaime se baahar jo maula mera
bhai beta bhatija koi bhi na tha
haye koi bhi na tha
ek hasrat se charon taraf dekh kar
sheh ne khud hi kaha alwida alwida
ran ko jaate hue...
jab tadap kar kaha mere sher'on utho
aao zainab ke bhai ko ruqsat karo
haye ruqsat karo
ek ek laashe be-sar se aayi sada
ay shahe karbala alwida alwida
ran ko jaate hue...
aisa matam karo aisa matam karo
paak bibi kahe marhaba marhaba
marhaba marhaba
khoon ugalte huwe ek ek zakhm se
aaj aaye sada alwida alwida
ran ko jaate hue...