yateem bacchi hai dard o alam ki maari hai
koi ghareeb nahi hai ye shaahzadi hai
sakina par khudara sitam itna na dhao
yateemi ki ghadi hai bahot sehmi hui hai
sitam itna na dhao
sakina par khudara sitam itna na dhao
abhi maara gaya hai iska baba
arey is waqt do isko dilaasa
tamache mat lagao
sakina par khudara...
bahot pyasi bahot pyasi hai haye
kahin ye tashna lab hi mar na jaye
isay pani pilao
sakina par khudara...
ye saydani hai ye aala nasab hai
arey ye dukhtare shaahe arab hai
khareeb iske na jao
sakina par khudara...
khadi hai itni laasho mein ye tanha
andhera aur bala ka hai andhera
zara himmat badhao
sakina par khudara...
is aalam mein na jee payegi haye
bina baba ke mar jayegi haye
koi sheh ko bulao
sakina par khudara...
na ab baba hai na iska chacha hai
lagi hai aag daaman jal raha hai
koi aa kar bachao
sakina par khudara...
bade naazon mein ye bacchi pali hai
bahot kamsin hai ye ghabra gayi hai
zara sa rehm khao
sakina par khudara...
sada ek laash se gohar ye aayi
na tum ghabrao ay baba ki pyari
hamare paas aao
sakina par khudara...