utho baba qayamat aa rahi hai
sakina qaid ho kar jaa rahi hai
zameen par hai pidar ki laash be sar
hai beti ke liye ghurbat ka manzar
sakina bain karti jaa rahi hai
sakina qaid ho kar...
bhare ghar ko hai maine lut'te dekha
mai poochun bhi to kis se poochun baba
ye dunya kyun masayeb dhaa rahi hai
sakina qaid ho kar...
kabhi tum ne uthayi laashe akbar
kabhi tum ne banayi qabre asghar
tumhari bekasi yaad aa rahi hai
sakina qaid ho kar...
ye baba sochti hai teri beti
na pani maangti mar jaati pyasi
chacha ki yaad mujhko aa rahi hai
sakina qaid ho kar...
jhulasti rayt hai ab mera bistar
kahan hai ab tera seena mayassar
mere baba mujhe neend aa rahi hai
sakina qaid ho kar...