uthaye phir rahe hai aag qaimon ko jalaate hai
sitamgar kuch saron ko nok e naiza par sajaate hai
uthaye phir raha hai ek shaqi asghar ko naize par
dikha kar zakhm chehre ke sakina kehti thi ro kar
mere baba sakina phir na soyegi
mujhe kuch dayr hi baba sulaalo zakhmi seene par
mere baba sakina phir na soyegi
musalsal jaagna hai shaam tak tujh par hi rona hai
tumare baad mujhko shaam ke zindan may sona hai
hai mere kaan zakhmi aur padhe hai neel chehre par
mere baba sakina phir na soyegi...
tumhare saath meri jaan nikal jaati to kya jaata
mujhe bhi kaash tere saath hi dafna diya jaata
layeen maarenge kal keh kar mujhe shabbir ki dukhtar
mere baba sakina phir na soyegi...
sitam sab se bada baba teri beti pe tab hoga
chacha abbas ki hoo laadli maloom jab hoga
sitam mujh par karenge wo sar e abbas dikhla kar
mere baba sakina phir na soyegi...
ridayein chin gayi sar se qayamat phir bhi na aayi
nahi abbas jaisa teri zainab ka koi bhai
sirhane hai khadi tere phupi amma bhi be-chadar
mere baba sakina phir na soyegi...
saron ke saath naizon par ridayein bhi uthayenge
hujoom e aam may hum ko barehna sar phirayenge
chathon se aale ahmed par bhi wo barsayenge pathar
mere baba sakina phir na soyegi...
fughan jiski buland hai shams wo bali sakina hai
jo apne baap ki hai laadli taweez seena hai
lipat kar laashe be-sar se yehi kehti thi ro ro kar
mere baba sakina phir na soyegi...