Kanz e Aza

Labbaik ya Maula

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Shafqat Taqi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

labbaika ya maula


hal min ki sada ran mein shabbir lagate hai

rukh kar suye darya bhai ko bulaate hai

abbas chale aao hum marne ko jaate hai


abbas pukare ya maula

hoon nehr kinare ya maula

sadqe mein tumhare ya maula

labbaika ya maula...


ab koi nahi mera maidan mein tanha hoon

laakhon hai mere dushman ay bhai akela hoon

mai saare azeezon ke gham mein bhi dooba hoon

khwahish hai ke aaun ya maula

tera saath nibhaun ya maula

aaqa ko bachaun ya maula

labbaika ya maula...


tum quwwate baazu thay lakhte dile zehra thay

tooti hai kamar meri bhaiya tere marne se

mai bekas o laaghar hoon tere nahi hone se

sab kehte hai ran se ya maula

har zakhmi badan se ya maula

abbas ke tan se ya maula

labbaika ya maula...


jab dard bhara lehja mai aap ka sunta hoon

darya pe tadapta hoon kuch kar nahi sakta hoon

mai pyasi sakina se ab bhi sharminda hoon

pani na pilaya ya maula

darya se na lauta ya maula

phat'ta hai kaleja ya maula

labbaika ya maula...


de dete agar mujhko aap izne wigha maula

is lashkare aada ko mitti mein mila deta

phir aap pe na hota ye waqt musibat ka

phir dil hai machalta ya maula

ho jaun zinda ya maula

dushman ko sikhata ya maula

labbaika ya maula...


ho jaata agar zinda nusrat ke liye aata

is baar bhi aaqa par qurban mai ho jaata

sau baar fida hota hargis nahi ghabrata

phir aap na jaate ya maula

hum taygh chalate ya maula

aur khoon mein nahate ya maula

labbaika ya maula...


maula ki sada sun kar sab laashe tadapte hai

sab apni kati gardan se cheekh ke kehte hai

ab chaah ke bhi maula hum uth nahi sakte hai

goya huwe jafar ya maula

tadpe ali akbar ya maula

gehware mein asghar ya maula

labbaika ya maula...


agar maut mujhe aaqa majboor nahi karti

is fauje yazeedi mein itni kahan jurrat thi

jo aap ke ghazi se aankhein bhi mila paati

majboor hai khadim ya maula

tukdhe huwe qasim ya maula

soye bani hashim ya maula

labbaika ya maula...


yaad aap ki ay aaqa zainab ko satayegi

kulsoom o ruqayya ko bhi khoon rulayegi

aur nanhi sakina ko jab neend na aayegi

bolegi tadap kar ya maula

baba mere sarwar ya maula

bechain hai dukhtar ya maula

labbaika ya maula...


shafqat ye sada aayi darya ki taraayi se

aamir jo madad maangi ek bhai ne bhai se

bechain hua ghazi aaqa ki judaai se

hoon tukde tukde ya maula

dauda diye ghode ya maula

sun paaun na dukhde ya maula

labbaika ya maula...