lashkare aada mein jitne thay sabhi kehne lage
dekh kar abbas ke tewar ali kehne lage
dekh kar andaaz e jang e hazrate abbas ke
aagaye maidan mein hyder khyberi kehne lage
lashkare aada mein...
haath mein abbas ke chamki jo wo tayghe hyderi
lashkari be-saakhta bijli giri kehne lage
lashkare aada mein...
asghar o akbar pe ki nazrein to dil mein ashkiyan
unko tasveer e ali unko nabi kehne lage
lashkare aada mein...
ho nazar to aao dekho kya hai tasveer e hussain
raushni apne ko kaise rasuhni kehne lage
lashkare aada mein...
karbala waalon ne zinda kar diya islam ko
marne waale maut ko hi zindagi kehne lage
lashkare aada mein...
laash akbar ki uthaayi jo zameen e garm se
har qadam pe shaahe waala ya ali kehne lage
lashkare aada mein...