Kanz e Aza

Lashkare Shahe Deen

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

lashkare shaahe deen udaas nahi

kul bahattar hai aur hai raas nahi


hosh qasim ki jang ne khoye

be sare sad ke hawaas nahi

lashkare shaahe deen…


dil se baatein ye karti thi sughra

shaah aaye safar se aas nahi

lashkare shaahe deen…


yun lutay sheh ke baad ahle haram

ek chadar kisi ke paas nahi

lashkare shaahe deen…


ran mein asghar ko le chale hai hussain

chaon teeron ki inko raas nahi

lashkare shaahe deen…


qabre asghar pe maa ye kehti thi

kyun meri jaan ab to pyaas nahi

lashkare shaahe deen…


qabr tanhai aur ali asghar

maa behan koi aas paas nahi

lashkare shaahe deen…


aal o quran pe hai bina hamid

apna emaan be-asaas nahi

lashkare shaahe deen…