Kanz e Aza

Lauta Diya Janaza

A noha for Imam Hassan (a.s), written by Tauqeer Kamalvi. Lyrics in Roman Urdu.

gham se dil e rasool e zaman kat raha hai aaj

dunya mein fatema ka chaman kat raha hai aaj


lauta diya janaza ummat ne kyun hassan ka

rauze pe mustafa ke jhagda kiya dafan ka

lauta diya janaza...


aayi sada e girya ek jannatul baqi se

kya haal kar diya hai logon mere chaman ka

lauta diya janaza...


zainab ke sar ko chooma farmeina ye hassan ne

fizza khayaal rakhna ab tu meri behan ka

lauta diya janaza...


qasim ne roke poocha maadar se ye batao

rang laal hogaya hai baba ke kyun kafan ka

lauta diya janaza...


ek aan mein jigar ke kitne huwe hai tukde

lab rayz hogaya hai paymana bhi lagan ka

lauta diya janaza...


rone ke waaste kya tauqeer itna kam hai

nana ke paas rauza ban na saka hassan ka

lauta diya janaza...