rehaai hogi to teri qabar pe aaungi
hussain haal tumhe shaam ka sunaungi
ye shaam waale kare chaahe sad hazaar sitam
na ladkhadayenge bhaiya teri behan ke qadam
ali ki beti hoon ban kar ali dikahungi
rehaai hogi to...
mere abbas se kehdo tum hi khuda ke liye
behan ka waada hai ghazi teri wafa ke liye
gali gali mein tera mai alam lagaungi
rehaai hogi to...
nazar ke saamne hoga tumhara zakhmi badan
kabhi banungi ali aur kabhi banungi hassan
tera payaam mai kuch is tarha phailaungi
rehaai hogi to...
kuch is tarha se karungi tilwat e quran
namazi maanega shabbir tumko saara jahan
baghair taygh ke mai inquilab laaungi
rehaai hogi to...
bazaare shaam mein baalon se dhaamp kar chehra
ali ke lehje ki awaaz ko bhi de ke rida
hijaab aise kiya jaata hai bataungi
rehaai hogi to...
hussain tere ghamon mein jo rone waale hai
teri qasam wo niraali tauqeer waale hai
gunahgaar ho lekin mai bakshwaungi
rehaai hogi to...