LAB PA ZAINAB KE ASEERI MEIN THA NAUHA ABBAS
MERE PARDE KE NIGEHBAA’N MERE BHAIYA ABBAS
Bekafan laashaye sarwar hai nazar mein meri Aur chalta huwa khanjar hai nazar mein meri
Noke naiza pa chadha sar hai nazar mein meri
Jalte qaimo ka wo manzar hai nazar mein meri
Shumr ne bali sakina ko tamache maare Aur kaano se sitamgar ne gohar bhi chheene
chote se sin mein bade zulm-o-sitam seh seh ke
chhut gayi sham ke zindaa’n mein sakina hum se
Baad tere mere bhai ye qayamat aayi
Berida kocha-o-bazar gayi dukh payi Aur raaho mein tamashaai khade the bhai
Deen ki izzat ke liye seh gayi mai ruswayi
Jab luta qafela darbaar-e-yazeedi mein gaya
Tha rasan basta Rasool-e-Arbi ka kunba
Haye masoom Sakina ka tha rassi mein gala
Dekhna Abid-e-Bemaar ko ye din bhi pada
Be sabab shumr ne abid ko sataya bhai
Tauq beemar ko aada ne pinaya bhai Aur kaanto pa layeenon ne chalaya bhai
Maarke durre hame khoob rulaya bhai
Saat sau kursi nasheeno se tha darbar bhara
Berida zainab-e-dilgeer ko jana hi pada
Hogayi kaisi Ali haye qayamat barpa
Yaad har gaam pa zainab ne tumhe yaad kiya