laashe abbas par sheh jo aaye
haye haye
dekha bhai ko khoon mein nahaye
lipte bhai ke laashe se sarwar
aur bole
kaise sadme falak ne dikhaye
haye haye
laashe abbas par...
choor zakhmon se saara badan hai
haye kaise
bhai ka bhai laasha uthaye
haye haye
laashe abbas par...
dasht e ghurbat mein bhai ko bhai
mere bhai
chod kar is tarha se na jaaye
haye haye
laashe abbas par...
ro ke boli sakina ke hae hae
mere ammu
aap aise gaye phir na aaye
haye haye
laashe abbas par...
aayi shaam e ghariban to zainab
ro ke boli
kaun hai ab jo aa kar bachaye
haye haye
laashe abbas par...
boli zainab madad kar madad kar
sher mere
meri chadar kahin chin na jaye
haye haye
laashe abbas par...
dekhe sheron se bhai ka laasha
ay khudaya
waqt behno pe aisa na aaye
haye haye
laashe abbas par...
maange ro kar shah e deen ki dukhtar
kooze laa kar
shimr pani zameen par bahaye
haye haye
laashe abbas par...
kar rahe hai jafayein sitamgar
ay dilawar
sheh ki beti kahin mar na jaye
haye haye
laashe abbas par...
hai sakina ke rukhsaar neele
haye itne
zaalimon ne tamache lagaye
haye haye
laashe abbas par...