Karbobala Ke Dasht Me Kia Kia Hua Aashur Ko
deen Bachgaya Par Shaah Ka Ghar Lutgaya Aashur Ko
1.dil Tham Kar Ye Bhi Sama Dekha Kiye Ahle Haram
shashmah Ke Bhi Halq Par,khanjar Chala Aashur Ko
karbobala Ke Dasht Me Kia Kia Hua Aashur Ko
2. Laila Ki Beenai Gayi Zainab Ka Dil Paara Huwa
kadiyal Jawaan Ke Dil Pa Jo,naiza Laga Aashur Ko
karbobala Ke Dasht Me Kia Kia Hua Aashur Ko
3. Bewa Huwi Pal Me Dulhan Rangeen Huwi Ran Ki Zameen
naushaah Ka Ghodo Se Tan,tukde Huwa Aashur Ko
karbobala Ke Dasht Me Kia Kia Hua Aashur Ko
4. Tooti Kamar Shabbir Ki Girya Kuna Thi Alqama
bedast Jab Rehwaar Se,ghazi Gira Aashur Ko
karbobala Ke Dasht Me Kia Kia Hua Aashur Ko
5. Larze Me Thi Dashte Bala Aflaak Se Barsa Lahu
pyasa Gala Sarwar Ka Jab,kaata Gaya Aashur Ko
karbobala Ke Dasht Me Kia Kia Hua Aashur Ko
6. Ashaab Ke Ansaar Ke Lashe Padhe The Khoon Me Tar
qalbe Hussain Ibne Ali,rota Raha Aashur Ko
karbobala Ke Dasht Me Kia Kia Hua Aashur Ko