Kanz e Aza

Karbobala Lahoo ka

A noha written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

karbobala lahoo ka safar dekhti rahi

maqtal ki samt raah guzar dekhti rahi


maqtal may aediyon ko ragarta raha pisar

ankhon say khoon bahati hui baap ki nazar

barchi may naujawan ka jigar dekhti rahi

karbobala lahoo ka...


beton ne yun khayal rakha apni baat ka

jaan se guzar gaye na kiya rukh faraat ka

maa apni tarbiyat ka asar dekhti rahi

karbobala lahoo ka...


lekar aba may aaye jigar goshaye zamaan

laashe ko rakh ke saamne ibne hasan ki ma

dulhan ki chashme tar ke gohar dekhti rahi

karbobala lahoo ka...


jab qaimagah ja na saka sher laut kar

huzn-o-alam se hazrate abbas-e-naamvar

be-aab mashk khoon may tar dekhti rahi

karbobala lahoo ka...


jis waqt kayenat ki gardish bhi tham gayi

qaime ke dar pay madare muztar khadi hui

paykan-e-hurmala tera shar dekhti rahi

karbobala lahoo ka...


khanjar ki pyas khoon se bujha kar utha layeen

aghosh may dareeda badan ko liye zameen

noke sina pe shaah ka sar dekhti rahi

karbobala lahoo ka...


shahid rakha imam ne ghurbat may bhi lihaaz

insaniyat nazar ko jhukaye basad niyaz

zaanu pe sheh ke jaun ka sar dekhti rahi

karbobala lahoo ka...