Kanz e Aza

Kaun Kaafir Hai

A noha written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

kaun kaafir hai kaun momin hai

waqt aane pe faisla hoga

baat khul jayegi qayamat mein

jab adalat ka saamna hoga


zul asheera say hajj-e-aakhir tak

kis ko waaris kiya muhammad ne

kis ne tareekh ko badal daala

ye bhi taareekh mein likha hoga

kaun kaafir hai…


mas'ala baagh ka nahi hargiz

mas'ala iddeaye haq ka hai

kis ki takzeeb kaun karta hai

bas isi pe mubahila hoga

kaun kaafir hai…


badshahat ko sabse pehli baar

kis ne pehnayi deen ki poshak

kab khilafat mulukiat mein dhali

kam se kam ab to sochna hoga

kaun kaafir hai…


khair to khair shar bhi acha hai

kaun samjhay ye falsafa kya hai

ek hi saath haq-o-baatil se

kaise raazi bhala khuda hoga

kaun kaafir hai…


jiski takhleeq ka sabab giriya

jiske vird e zaban ali maula

usko nabood kar sakega kaun

jiski ta'eed mein khuda hoga

kaun kaafir hai…


qalb par jinke mohr lag jaye

phir inhe saeyban naseeb kahan

ibne zehra ke rone walon par

hashr tak saaya-e-kisa hoga

kaun kaafir hai…


majlise gham hai fatema bhi hai

matame shaah-e-karbala hoga

ay azadaar ashke gham tera

nazre rumaal-e-sayyeda hoga

kaun kaafir hai…


jab sina khaynchne chale honge

akbar-e-naujawan ke seene se

aastine ulat ke sarwar ne

kis tarha ya ali kaha hoga

kaun kaafir hai…


sirf mashk-o-alam liye shabbir

aaye honge furaat se jis dam

binte shaah e zaman ke haathon se

khaali kuza bhi gir gaya hoga

kaun kaafir hai…


dil larazta hai aankh roti hai

thar'tari si badan mein hoti hai

shaah ka haal kya hua hoga

teer asghar ko jab laga hoga

kaun kaafir hai…


ambiya saans rok kar shahid

tak rahe hai hussain ki surat

garm reti pe zer-e-khanjar ab

sajdaye aakhri ada hoga

kaun kaafir hai…