Kanz e Aza

Kaun Sambhale

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), written by Kumail Jafri. Lyrics in Roman Urdu.

girte huwe naaqe se zameen par

kaun sambhale zainab ko

saath nahi hai koi baradar

kaun sambhale zainab ko


athara bhai ki behen pe

kaisi musibat aayi hai

haath bandhe hai pusht ke bal

aur gard badan par chaayi hai

sar pe nahi hai maqna o chadar

kaun sambhale zainab ko

saath nahi hai koi...


aun o mohamed qasim aur

abbas e dilawar koi nahi

kaun madad ko aayega aakhir

monis o yawar koi nahi

abid hai par wo bhi hai laaghar

kaun sambhale zainab ko

saath nahi hai koi...


koi agar girta hai to wo

haathon ka sahara leta hai

lekin zainab ke girne ka

haal bahot ranjeeda hai

chehre ke bal girti hai muztar

kaun sambhale zainab ko

saath nahi hai koi...


sab ko bachaya khud ko faqat

takleef mein dhaala zainab ne

karbobala se shaam talak

har ek ko sambhala zainab ne

lekin ab hai shaam ka manzar

kaun sambhale zainab ko

saath nahi hai koi...


jab ye chali thi apne watan se

saani e hyder saath mein thay

inki amaari sab se haseen thi

saare baradar saath mein thay

ab hai magar tanha ye yahan par

kaun sambhale zainab ko

saath nahi hai koi...


dekh rahi hain uski nigahein

bheed mein apna koi nahi

shaam ke logon ka majma hai

ahle madina koi nahi

chaaron taraf hai zulm ka lashkar

kaun sambhale zainab ko

saath nahi hai koi...


shaam ke zaalim maar rahe thay

zainab ko jab patthar se

dekh ke nok e naiza par

abbas e dilawar ke sar se

kehne lagi fizza ro ro kar

kaun sambhale zainab ko

saath nahi hai koi...


na-mahram hai log sabhi

aur ghairon ki aabadi hai

shaam ke bazaron mein khule sar

kufe ki shehzadi hai

dukhiya par haste hai sitamgar

kaun sambhale zainab ko

saath nahi hai koi...


dekh ke zainab ko is gham mein

sab ko khayaal aaya hoga

dil mein kumail o aamir ye

logon ke sawaal aaya hoga

nok e sina par sar hai bahattar

kaun sambhale zainab ko

saath nahi hai koi...