Kanz e Aza

Khamosh Hai Alqama

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

khamosh hai alqama ki mauje

faza may bhi maut ka samaa hai

rida-e-zainab tera mohafiz

ukhadti saanso ke darmiyan hai

khamosh hai…


hawa'on ke rukh badal rahe hai

qayaam darya se hat rahe hai

kisi ke teywar bata rahe hai

ke toot padne ko aasman hai

khamosh hai…


sitam ki paykaan to kheynch lenge

hussain chashm-e-jari se lekin

khalish ka ek teer aur bhi hai

jo qalb-e-abbas may nihaan hai

khamosh hai…


sakina bibi ki tashnagi ka

jigar pe ab tak hai daagh baaqi

wahin wahin mashk bhi milegi

alam jari ka jahan jahan hai

khamosh hai…


ba chashm-e-purnam ba-waqte rehlat

ali ne jin baazu'on ko chooma

kahin wo baazu qalam huye hai

kahin pe in may reesma hai

khamosh hai…


lahoo lahoo paykar e tamanna

qareeb mashkeeza e sakina

gira hai rehwaar se wo aise

kahin pe baazu kahin nishan hai

khamosh hai…