kis shaan se laate hai shahinshaahe do aalam qasim ka janaza
daale hue ghodo pe basad deedae purnam qasim ka janaza
haye haye bane qasim bane qasim ka ye ghul tha. qaime me haram ka
masnad pe litaaya shahe mazloom ne jis dam qasim ka janaza
marqad se kafan chaak kiye nikle payambar maidan ke andar
pamal wo ghodo se jo karne lage zalim qasim ka janaza
kya raaj luta shaah ka maidane bala me wa hasrato dardaa
yu kehti thi maa dulha ko liptaake har ek dam qasim ka janaza
zainab me kaha shaah se pursa to dilaao qasim ko to laao
kya ghash me lie jaate ho aye saanie maryam qasim ka janaza
ek hashr sa barpa tha ke qaime me kahu kya. sab ahle haram ka
qaime se uthaane chale jab syede akram qasim ka janaza