kis tarah sar na peete, layee'n zulm dhaaya hai
qabre janabe fatima zalim mitaaya hai
pehlu shikasta soi thi beti rasool ki
zalim giraake qabr ko haye haye jagaaya hai
baade qata bhi bughz layeeno ka baaqi tha
mismaar karke qabr ko ab chain aaya hai
naazil ho tujh pe qeher qudaao sitam sitam shiyaar
be wajah tune gore ghareebaa'n mitaaya hai
qabro me aye shaqi unhe rehne de chain se
dunya me bekaso ne bohot dukh uthaaya hai
waqte madad hai aaiye ab shere kirdegaar
keeje fanah saood ne eemaan mitaaya hai
maare gaye azeez luta zar jala hai ghar
marqad pe jaake chain ghareebo ne paaya hai