Kanz e Aza

Ay Baqia Mujhe

A noha for Inhedaam e Jannat ul Baqee, written by Ali Izhaar. Lyrics in Roman Urdu.

ay baqia mujhe tera gham hai

is liye to ye aankh purnam hai


jab se tera ye inhedaam hua

dil mein bas gham ka hi khayaam hua

ab to ek ezteraab e payham hai

ay baqia mujhe…


qabre zehra jo dhaayi aada ne

kya bigada tha inka dukhiya ne

hum to jitna bhi roye wo kam hai

ay baqia mujhe…


hai jo be-saaya turbat e sajjad

kyun na hum ghamzada kare faryad

is se bad kar bhi koi kya gham hai

ay baqia mujhe…


qabr baqar ki aur jafar ki

hai shakista jo qabr shabbar ki

har taraf sog ka sa aalam hai

ay baqia mujhe…


keh utha dekh kar dil e muztar

haye re qabre maadar e hyder

is ki tauqeer to muqadam hai

ay baqia mujhe…


jab bhi tashreef layenge mehdi

hoga taameer phir baqia bhi

mujhko ek yehi aas har dam hai

ay baqia mujhe…


kyun na awaaze haq uthaye hum

kaise baatil se khauf khaye hum

sar pe jab bawafa ka parcham hai

ay baqia mujhe…


jis ne zehra ka dil dukhaya hai

aur unhe umr bhar rulaaya hai

us pe lanat hi ab to har dam hai

ay baqia mujhe…


chain izhaar yun nahi aata

har ghadi hai alam baqia ka

har ghadi dil mein shor e matam hai

ay baqia mujhe…