Kanz e Aza

Haye Ghurbate Raza

A noha for Imam Raza (a.s), written by Ali Izhaar. Lyrics in Roman Urdu.

rote hai shaahe waala roti hai binte zahra

haye ghurbate raza par

phir aaj karbala mein aur shaam mein hai giryan

haye ghurbate raza par

rote hai shaahe waala...


hai qum ki shaahzadi aur hai zaban par naale

bikhraye baal apne nauha kuna hai behna

haye ghurbate raza par

rote hai shaahe waala...


pardes ko chale jab maula raza to roye

jis dam watan ko choda veraan tha madina

haye ghurbate raza par

rote hai shaahe waala...


zehre sitam se maara mazloom o be-watan ko

afsos zaalimo ko hargiz taras na aaya

haye ghurbate raza par

rote hai shaahe waala...


pursa qubool kije maula ay musa kazim

aansu bahate hum bhi dene ko aaye pursa

haye ghurbate raza par

rote hai shaahe waala...


taboot uth raha hai kaandho pe momino ke

girya hua hai barpa maram hua hai barpa

haye ghurbate raza par

rote hai shaahe waala...


har shaam ro rahi hai bhai ko ek khwahar

har shaam hi bapa hai qum ki fiza mein nauha

haye ghurbate raza par

rote hai shaahe waala...


mayyat pe is pisar ki faryad e sayyeda thi

yasrab se aake dekho mai ro rahi hoo baba

haye ghurbate raza par

rote hai shaahe waala...


maahe safar jo aaya yaad aagayi sakina

izhaar uske gham mein roya phir aur roya

haye ghurbate raza par

rote hai shaahe waala...