Kanz e Aza

Haye Imam e Raza As

A noha for Imam Raza (a.s), written by Mir Hilal Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

Haye Imam-E-Raza (AS)


Haye Imam-E-Raza (AS), Haye Imam-E-Raza

Chahne Waale Sabhi Karte Hain Girya


Khoo'n Hai Zameen Par Pada Dekhti Hoon Main Jidhar

Neela Badan Ho Gaya, Zehr Ka Hai Woh Asar

Din Meri Taqdeer Ne Kaisa Dikhaya Mujhe

Phir Mere Ek Laal Ka Girta Hai Kat Ke Jigar

Thaame Hue Pasliyan Kehti Hain Zahra


Sadma Hai Itna Bada Hoti Hai Dil Mein Chubhan

Barhte Hi Jaayenge Ab Roz Yeh Ranj-O-Mahan

Chahne Waale Sabhi Ashk Bahaane Lage

Jaane Lage Chhod Kar Jad Ki Tarah Jab Watan

Kehta Tha Mat Jaaiye Saara Madina


Hota Hai Pardes Mein Sab Se Bichhadne Ka Gham

Dil Mein Thin Bechainiyan, Saath The Ranj-O-Alam

Zehr Woh Angoor Mein De Diya Mamoon Ne

Dard Se Ugla Lahu, Toda Ghareebi Mein Dam

Zulm Musaafir Pe Yeh Ho Gaya Kaisa


Chehra-E-Ghamnaak Ko Ashkon Se Dhote Hue

Jaan Gham-E-Hijr Mein Karb Se Khote Hue

Bhai Ke Marne Ki Jab Paayi Safar Mein Khabar

Khwahar-E-Mola Raza Gir Gayin Rote Hue

Sah Na Paayi Behan Bhai Ka Sadma


Chaaron Taraf Toos Mein Abr-E-Alam Chha Gaye

Aise Masaayeb Bhi The Dil Ko Jo Tadpa Gaye

Zehr Ki Shiddat Se Jab Badhne Lagi Tashnagi

Roye Bahut Cheekh Kar Yaad Hasan (AS) Aa Gaye

Bhool Na Paaye Kabhi Jad Ka Tadapna


Din Yeh Qayamat Ka Hai, Sog Bapa Ho Gaya

Khaana-E-Sadaat Mein Bichh Gaya Farsh-E-Aza

Shaamil Karb-E-Raza Hum Hi Akele Nahin

Aaj Shareek-E-Aza Honge Sabhi Ambiya

Khaak Udaayenge Sab Padh Ke Yeh Nauha


Mir Hilal Aaj Hain Gham Mein Imam-E-Zaman

Zikr-E-Ghareeb-Ul-Watan Karte Hain Peer-O-Jawaan

Zehr-E-Dagha Se Hua Dilbar-E-Kazim Shaheed

Doob Gaya Aeliya Sog Mein Saara Jahaan

Keh Ke Yeh Taboot Ko Dijiye Kandha