Kanz e Aza

Haye jab imam mai bana

A noha (2014). Lyrics in Roman Urdu.

Haye jab imam mai bana

Haaye Aashur Ko Ghash Se Jo Phuphi a.s Jaan Ney Uthaaya

Jalta Hua Lut'ta Hua Samaan Nazar Aaya

Baba a.s Na Alamdaar a.s Na Lashkar Tha Hamara

Maan Behno'n Ke Sar Per Bhi Ridaa'on Ko Naa Paya

Uss Haal Main Dastaar-e-Imamat Ko Sambhala


Marsiya Tha Ik Ghareeb Ka (Haaye Jab Imam a.s Main Bana) x2

(Marsiya Tha Ik Ghareeb Ka) x2 (Haaye Jab Imam a.s Main Bana) x2

Marsiya Tha Ik Ghareeb Ka Haaye Jab Imam a.s Main Bana


Chhaa Chuki Thi Shaam Ki Ghatta

Jal Raha Tha Haaye Ghar Mera a.s

Lut Raha Tha Maal O Zar Mera a.s

Hanss Rahey They Ham a.s Pe Ashkiyaa

Saamney Phuphi a.s Thin Berida


Marsiya Tha Ik Ghareeb Ka (Haaye Jab Imam a.s Main Bana) x2

Marsiya Tha Ik Ghareeb Ka Haaye Jab Imam a.s Main Bana


Merey Samney Thi Karbala

Girya O Buka Ka Shor Tha

Mayyatain Pari Theen Jaa Ba Jaa

Ro Rahi Thi Nehr-e-Alqama Aur Main Ye Dekhta Raha


Marsiya Tha Ik Ghareeb Ka (Haaye Jab Imam a.s Main Bana) x2

Marsiya Tha Ik Ghareeb Ka Haaye Jab Imam a.s Main Bana


Mujh Se Keh Rahi Thin Ye Phuphi s.a

Masnad-e-Rasool s.a.w.w Jal Gai

Chal Gai Hussain a.s Per Chhurri

Ab Imam-e-Waqt a.s Ho Tumhi

Ho Rahi Thi Aisey Ibteda


Marsiya Tha Ik Ghareeb Ka (Haaye Jab Imam Main Bana) x2

Marsiya Tha Ik Ghareeb Ka Haaye Jab Imam a.s Main Bana


Haaye Shaamiyo'n Ka Ashdahaam Aur Wo Ghairato'n Ka Qatal-e-Aam

Khoon Ro Raha Tha Subh-O-Shaam

Keh Ke Haaye Shaam Haaye Shaam Kyun Naa Uss Ghari Main a.s Mar Gaya


Marsiya Tha Ik Ghareeb Ka (Haaye Jab Imam Main Bana) x2

Marsiya Tha Ik Ghareeb Ka Haaye Jab Imam a.s Main Bana


Aaj Ham Pe Tang Hai Zameen

Ro Rahi Hain Zainab-e-Hazeen s.a

Main Ba Haisiyat Imam-e-Deen a.s

Rakh Raha Hoon Khaak Per Jabeen

Kar Raha Hoon Sajda-e-Khuda


Marsiya Tha Ik Ghareeb Ka (Haaye Jab Imam Main Bana) x2

Marsiya Tha Ik Ghareeb Ka Haaye Jab Imam a.s Main Bana


Sarwar O Zafar Wo Shaam-e-Gham

Haaye Wo Musibat O Alam

Wo Yateem-e-Shah a.s Per Sitam

Mar Raha Tha Jo Qadam Qadam

Keh Raha Tha Jo Basad Buka


Marsiya Tha Ik Ghareeb Ka (Haaye Jab Imam a.s Main Bana) x2