Kanz e Aza

Hussain aaj bhi hai

A manqabat for Imam Hussain (a.s), written by Muqtar Hussain (2014). Lyrics in Roman Urdu.

Hussain aaj bhi hai

hussain aaj bhi hai    4


hai karbala ka ye dawa hussain aaj b hai     2

ye kisne kehdiya kal tha  2


hussain aaj bhi hai


hussain .............hai  karbala.............hussain............

ye hurmizaj jise kehti hai majalise shabbir

bas k pal me badal jayegi teri takdeer

azaa k farsh pe aaja 2


hussain aaj bhi hai. 2

hussain...........hai............. hussain...............


karo hadise anamil hussain  per b nazar

rasule paaak hai zinda ye mante ho agar

to phir ye maan na hoga 2


hussain aaj bhi hai

hussain......hai.............hussain.............


na naam lewa hai koi na hai nishane mazar

fanna yazid hua khatm hogaya darbar

magar hussain k jaisa 2


hussai aaj bhi hai

hussain............hai............hussain............


wo aur honge jinhe apni jaan hai pyari

kaza k khauf se kyu chhod de azadari

hai jab yakin hamara  2


hussain aaj bhi hai

hussain...............hai .................hussain...


chalo isme jo kabhi zuljanah aata hai

to iske chalne ka andaz ye batata hai

k jaise deen pe baitha  2


hussain aaj bhi hai

hussain............hai........hussain.......


shahadato k labo par hai shukriya zainab

na hoti tu to simat jati karbala zainab

tere wasile se zinda  2


hussain aaj b hai

hussain...........hai..........hussain...........


khudaya baaki hai ghaibat ka aur kitna safar

ye pucchti hai bahattar shahadate milkar

kaha hai teen saw tehra (313)  2


hussain aaj bhi hai

hussain.........hai.............hussain........


yazidiyat b larazti thi roze aaashura

sawa crore zamano pe ek naara tha

faza me gunj raha tha  2


hussain aaj bhi hai

hussain.........hai...........hussain..........


ye dawa thik hai mukhtar aur takkallum ka

zahur kayeme aale rasul jab hoga

kahega sara zamana  2


hussain aaj bhi hai

hussain...........hai...........hussain.........