haye khaak hai sar mein zainab hai safar mein
kab hogi reha qaid se kab jayegi ghar mein
tareekh teri jang ko dohraati rahegi
asghar jo ladi tu ne nanhi si umar mein
haye khaak hai sar mein...
ek waqt tha shehzadi thi haye kufe ki zainab
kis haal mein aayi hai baba ke shehar mein
haye khaak hai sar mein...
bikhre huwe baalon se moo dhaamp lo bibi
mahaul sharabi hai teri raah guzar mein
haye khaak hai sar mein...
jis parde ka zaamin tha abbas dilawar
hai zakhm usi parde ke abid ke jigar mein
haye khaak hai sar mein...
thay tan pe phatay kapde aur kaan bhi zakhmi
abid ne utaara jo sakina ko qabar mein
haye khaak hai sar mein...
shabbir ke matam se haye rokne waalo
zainab ki ye sunnat hai momin ki nazar mein
haye khaak hai sar mein...