Kanz e Aza

Haye Mera Sajjad

A noha for Darbaar e Shaam, written by N.Sarwar & J. Jaffri (2026). Lyrics in Roman Urdu.

haye mera sajjad


aa gaya bazaar maula mera

haye mera sajjad


saath hai bibiyan kya kare natawan

haye mera sajjad

sayyed e sajjad


zanjeeron mein jakda maula

saath saara qaidi kunba

jisne dekha wo bhi roya

khoon hai sar e bazaar maula mera

haye mera sajjad

aa gaya bazaar maula...


zaalim loki des paraya

na akbar na alma waala

rath akhiyan cho ronda aaya

aaya mastoora sang darbar maula mera

haye mera sajjad

aa gaya bazaar maula...


jab wo qaidi kunba aaya

shaam sheher ko haste dekha

bazaari tha majma saara

manzar na bhula ghamkhwar maula mera

haye mera sajjad

aa gaya bazaar maula...


shaam da qaidi ghairatan waala

ba kirda o zakhmi baba

sang zainab de turda aaya

parde da pursedaar maula mera

haye mera sajjad

aa gaya bazaar maula...


zakhmi zakhmi mera maula

dil hai jiska paara paara

taziyane khaata aaya

sehta sitam kayi baar maula mera

haye mera sajjad

aa gaya bazaar maula...