Kanz e Aza

Hona To Yehi Tha

A noha written by N. Sarwar & H. Naqvi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

inna lillahe wa inna ilahe rajeoon


hona to yehi tha waada to yehi tha

sab bikhar gaye sab ujad gaye

mera waada to yehi tha

inna lillahe wa inna ilahe rajeoon


parwardigar banda e aajis ki hai sada

de hausla sambhaal le mujhko mere khuda

kuch bhi raha na paas mere sab bikhar gaya

saathi koi hussain ka baaqi nahi raha

haye sab bikhar gaye sab ujad gaye

hona to yehi tha waada to yehi tha

mera waada to yehi tha

inna lillah inna lillah

inna lillahe wa inna ilahe rajeoon


aansu ye keh rahe hai ke akbar kahan gaya

gehwara poochta hai ke asghar kahan gaya

baazu mera wo saani e hyder kahan gaya

abbas ke jo saath tha wo lashkar kahan gaya

haye sab bikhar gaye sab ujad gaye

hona to yehi tha waada to yehi tha

mera waada to yehi tha

inna lillah inna lillah

inna lillahe wa inna ilahe rajeoon


koi nahi raha to bhala kya jiyunga mai

socha na tha ke jung akele ladunga mai

kaise haram ki tanha hifazat karunga mai

kaise namaz e asr akele padhunga mai

haye sab bikhar gaye sab ujad gaye

hona to yehi tha waada to yehi tha

mera waada to yehi tha

inna lillah inna lillah

inna lillahe wa inna ilahe rajeoon


aisa hoon bewatan ke ab apna nahi koi

ghere huwe hai chaaron taraf se mujhe shaqi

haye ye bekasi meri haye ye bebasi

mai ek shab bhi chain se soya nahi kabhi

haye sab bikhar gaye sab ujad gaye

hona to yehi tha waada to yehi tha

mera waada to yehi tha

inna lillah inna lillah

inna lillahe wa inna ilahe rajeoon


maana ke lut gaya era ghar baar ay khuda

lekin tere nabi ke nawase ki hai dua

mai is tarha se haq e shahadat karun ada

zinda rahe dilon mein hamesha ye karbala

haye sab bikhar gaye sab ujad gaye

hona to yehi tha waada to yehi tha

mera waada to yehi tha

inna lillah inna lillah

inna lillahe wa inna ilahe rajeoon