maula ya hussain hussain
maula ya hussain hussain
jis ne khuda ke liye ghar baar lutaya
maula ya hussain hussain
jis ne sina par hame quran sunaya
kis ne hame mar ke bhi jeena hai sikhaya
aise sardar ko shahe abraar ko
maula hussain ibne ali kehte hai
maula ya hussain hussain...
wo mera raahnuma mera aaqa bhi wohi
jis ka nana hai nabi baap waliyon ka wali
fatema jis ki hai maa bhai jaisa na koi
aise sultan ko us nigehban ko
maula hussain ibne ali kehte hai
maula ya hussain hussain...
jagah jagah hai goonjta
maula hi maula ya hussain
maula ya hussain hussain...
saare sardar jise apna sardar kahe
saare masoom jise apna deedar kahe
aur hum jaise jise rab ka shahkaar kahe
aise sardar ko shahe abraar ko
maula hussain ibne ali kehte hai
maula ya hussain hussain...
syedi syedi syedi syedi
mustafavi hashmi o jaan e nabi
kushta e tegh e jafa haye hussain ibne ali
hussain hussain hussain hussain
hussain hussain hussain hussain
mazloom e karbala
mazloom e karbala hussain
ya hussain
maula ya hussain hussain...
jab azakhana saja aur unhe yaad kiya
aagaye ghar mein mere dil mera shaad kiya
ek beghar ne mere ghar ko aabaad kiya
aise mehman ko shahe zeeshan ko
maula hussain ibne ali kehte hai
maula ya hussain hussain...
jagah jagah hai goonjta
maula hi maula ya hussain
maula ya hussain hussain...
marzi e rab thi yehi chod de apna watan
wo ghareeb ul watani aur ujadta wo chaman
wo shahenshah e zaman aur pamaal badan
aise mazloom ko aise masoom ko
maula hussain ibne ali kehte hai
maula ya hussain hussain...
jo keh diya maula ne wo kar ke dikhaya hai
qurban huwe lekin waade ko nibhaya hai
ay sheh ke azadaron aa jao karo matam
ek bibi ke rone ki aati hai sada har dam
ghar luta diya maula
sar kata diya maula
khoon baha diya maula
deen bacha liya maula
bekafan raha maula
laasha na utha maula
pyasa bhi raha maula
ghar ujad gaya maula
ghar ujad gaya maula
deen bacha diya maula
deen bacha diya maula
deen bacha diya maula