Kanz e Aza

Hussain ki Sada

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

hussainyo utho utho hussain ki sada suno

dua sayyeda ho tum sadaye sayyeda suno


nabuwato ke azm ka hussain virsadaar hai

chamane haq ke aaj bhi hussain se bahaar hai

jahan may hussain se rasool ka waqar hai

hussain ki khushi may hai raza-e-kibriya suno

hussainyo utho utho….


hussain bemisal tha hussain bemisal hai

hussain lazawaal tha hussain lazawaal hai

ghame hussain rokh de kisi ki kya majaal hai

rahega gham hussain ka khuda ka faisla suno

hussainyo utho utho….


ye shahe mashraqain hai ali ka noore ain hai

ye sayyeda ka laal hai nabi ke dil ka chain hai

sawar doshe mustufa jahan may hussain hai

isi ko paraye jigar rasool ne kaha suno

hussainyo utho utho….


hussain ke sharaf pe khud kitabe haq gawah hai

hussain hai shaheede haq hussain deen panah hai

hai jisme sab ke sab ali hussain ki sipaah hai

bata rahe hai ye sharaf tamam auliya suno

hussainyo utho utho….


pada jo waqt deen par to apna sar kata diya

rahe khuda may isne apna saara ghar luta diya

nawasaye rasool hoo jahan ko ye bata diya

baghaur istighasaye shaheede karbala suno

hussainyo utho utho….


manao gham hussain ka saro ko apne peet kar

musibate hussain par lahoo lahoo rahe nazar

bahao ashk khoon ke muhib ho sayyeda ke gar

hai ashqe gham hi marhame shaheede karbala suno

hussainyo utho utho….


shaheed ran may hogaye jawan akbare jari

hussain ke galay pe karbala may chal gayi churi

kiya nabi ki aal ko yazeed ne aseer bhi

yazeediyat ke zulm ka yahi hai waqia suno

hussainyo utho utho….


shuja aur riyaz ki hussain se hai ilteja

ghame firaaq door ho bulaye jald karbala

dare hussain se milay ghame hayaat ki dawa

yehi hai bas jahan may hamara mudda-a suno

hussainyo utho utho….