hussain maqtal mein chup khade hai
lahoo lahoo hai libaas saara mere khudaya
hussain maqtal mein chup khade hai
ajeeb manzar hai karbala ka
zameen pa bikhre pade hai laashe
yahan hai sadaat pe musibat
wahan layeen peet'te hai taashe
udasiyan padh rahi hai nauha mere khudaya
hussain maqtal mein...
ghareeb e zehra ke rukh pe asghar
ka khoone na haq laga hua hai
abaa ka daaman jawan akbar
ke khoon se ghiltan ho chuka hai
nazar jami hai suye sakina mere khudaya
hussain maqtal mein...
hussain mal mal ke apni aankhein
zameen par dekhe jaa rahe hai
hai ek ghatdi jo khoon mein tar hai
usi pe aansu baha rahe hai
ye ghatri qasim ka hai sarapa mere khudaya
hussain maqtal mein...
behen ke bacche jawan bhai
jawan bhatija guzar chuka hai
na ab hai ansaar koi baakhi
habeeb bhi ab to mar chuka hai
ke ghar ka ghar lut gaya hai saara mere khudaya
hussain maqtal mein...
hai murtajiz saath saath sheh ke
imam ke gird ghoomta hai
kabhi pakadta hai sheh ka daaman
kabhi wo qadmon ko choomta hai
hai sheh ka ghoda bhi mehwe girya mere khudaya
hussain maqtal mein...
hussain mud mud ke dekhte hai
khayaal zainab ka aa raha hai
keaane waali hai shaam e ghurbat
jabhi to dil dooba jaa raha hai
bachega kaise haram ka parda mere khudaya
hussain maqtal mein...
hamein hai yasir raza ye dhaaras
ke muntaqim hai imam e mehdi
yazeediyon se khuda ke lenge
hussain ka inteqam mehdi
wo soch kar kar rahe hai girya mere khudaya
hussain maqtal mein...