Kanz e Aza

Kazime Muztar

A noha for Imam Moosa e Kazim (a.s), written by Yasir Raza. Lyrics in Roman Urdu.

qaid mein chauda baras zulm o sitam dhaaya gaya

kazim e muztar ko tadpaya gaya


phir nishane ismate sadaat mitwaya gaya

kazim e muztar ko tadpaya gaya


qaid kar ke le ke aaye kazim e naushad ko

phir azadar e janabe syed e sajjad ko

paon mein bedi galay mein tauq pehnaya gaya

kazim e muztar ko tadpaya gaya

qaid mein chauda baras...


yaad abid ki aseeri aagayi rote rahe

pesh e haakim pa barehna haye peshi ke liye

jis ghadi sarkar ko darbar mein laaya gaya

kazim e muztar ko tadpaya gaya

qaid mein chauda baras...


char jaanib ghup andhera tha ke jaise qabr ho

qaid khana aisa lagta tha ke jaise qabr ho

jeete jee is qabr mein maula ko dalwaya gaya

kazim e muztar ko tadpaya gaya

qaid mein chauda baras...


qaid khane ki aziyat kam thi kya ay zaalimon

kyun nabi ki aal se itni adawat hai kaho

dhaa liye sab zulm to phir zeher dilwaya gaya

kazim e muztar ko tadpaya gaya

qaid mein chauda baras...


jis tarha zainab hui thi apne baba se juda

be-padar masooma e qum bhi hui wa ghurbata

bekhata jaise ali ko qatl karwaya gaya

kazim e muztar ko tadpaya gaya

qaid mein chauda baras...


fatema sughra ko jaise yaad karte thay hussain

us tarha milta na tha beti ke bin kazim ko chain

qaid khane ko bhi baitul huzn banwaya gaya

kazim e muztar ko tadpaya gaya

qaid mein chauda baras...


chand mazdooron ne laashe ko uthaya aap ke

aur janaza pul pe laa ke rakh diya baghdad ke

haye zanjeeron mein bhi mayyat ko bandhwaya gaya

kazim e muztar ko tadpaya gaya

qaid mein chauda baras...


ghul hua kaunain mein maara gaya ek be-khata

hogaye hai be-padar maula raza yasir raza

haye masooma ke sar se baap ka saaya gaya

kazim e muztar ko tadpaya gaya

qaid mein chauda baras...