maa ne rote huwe asghar ka jhulaya jhoola
kabhi chooma kabhi seene se lagaya jhoola
dekh kar roti rahi asghar e baysheer ko maa
shabe ashoor bahot dayr jhulaya jhoola
maa ne rote huwe...
ro padi bano e muztar jo ye manzar dekha
khaak pe haath se bacchi ne banaya jhoola
maa ne rote huwe...
ali asghar ko sada de ke tadapti thi rubab
raaste mein jo kabhi saamne aaya jhoola
maa ne rote huwe...
bhai ki yaad mein rote huwe behosh hui
jab nazar fatema sughra ko na aaya jhoola
maa ne rote huwe...
raakh bhi aayi hai loote huwe asbaab ke saath
kalma goyo ne hai kuch aise jalaya jhoola
maa ne rote huwe...
aa gayi shaam se rote huwe asghar ki behan
jab sar e farshe aza hum ne uthaya jhoola
maa ne rote huwe...
neem shab aati hai bibi koi girya karne
jab se ghar mein ali asghar ka sajaya jhoola
maa ne rote huwe...
phir kabhi rizq ki tangi nahi dekhi yasir
roz e ashoor jo faaqe mein uthaya jhoola
maa ne rote huwe...