hussain sar na katate to aaj kya hota
khuda ke deen ka chehra utar gaya hota
agar na hota san eksat ka roz e ashura
to aaj tareek e emaan to hi kya hota
hussain sar na katate...
bait may di akbar ki jawani
aur asghar tadpa bin pani
jaan pa khela laal ali ka
khaak pe aanch jo aayi tere
agar na hota san eksat ka roz e ashura
to aaj taarek e eeman to hi kya hota
hussain sar na katate...
na hote hazrate abbas ke jo naqsh e qadam
to aastane wafa kab ka mit gaya hota
hussain sar na katate...
khaakh pa qabza kar ke choda
daal diya darya may ghoda
khoon ko pani karne waale
aah teri saqqayi dekhein
na hote hazrate abbas ke jo naqsh e qadam
to aastane wafa kab ka mit gaya hota
hussain sar na katate...
dua e badh may jo zainab ke haath uth jaate
to yazidiyat ka janaza nikal gaya hota
hussain sar na katate...
aal e nabi ko yun beparda
jin aankhon se tune dekha
mar na gaya o shaam ke haakim
laaj na tujhko aayi zaalim
dua e badh may jo zainab ke haath uth jaate
to yazidiyat ka janaza nikal gaya hota
hussain sar na katate...