hussain tere lahoo ki khushboo
falak ke daaman se aa rahi hai
ye khoone na-haq chupega kyun kar
jise ye dunya chupa rahi hai
hussain laasha jawan ka le kar
chale hai maqtal se suye qaima
magar zaeefi qadam qadam par
utha rahi hai bitha rahi hai
hussain tere lahoo ki...
ye kaun hai jiski guftugu mein
ali ka lehja jhalak raha hai
ye kaun hai jiske walwalon mein
hussainiyat jagmaga rahi hai
hussain tere lahoo ki...
ba-rehna sar hai ali ki beti
magar wohi azmat e mohamed
wo jiski khaatir bhara hua ghar
luta ke karbal se aa rahi hai
hussain tere lahoo ki...
pukari dashte bala mein zainab
kahan ho abbas laut aao
utha ke haathon mein khali kooza
sakina tum ko bula rahi hai
hussain tere lahoo ki...
bujha ke paikan se pyaas apni
tu garam reti pe so raha hai
tujhe khayalon mein ab bhi asghar
rabab jhoola jhula rahi hai
hussain tere lahoo ki...
dayare shaam o dayare kufa
jo hoke aayi hai binte zehra
nabi ke rauze pe jaate jaate
nishan rasan ke chupa rahi hai
hussain tere lahoo ki...
kahan hai maqtal kahan madina
tadap ke boli ye umme salma
jo ghash se jaagi hai teri sughra
bas ek nauha suna rahi hai
hussain tere lahoo ki...