hussain tum pe jo emaan laa nahi sakta
qasam khuda ki wojannat mein jaa nahi sakta
jo sheh ke naam pe pani pila nahi sakta
khareeb e saahil e kausar wo aa nahi sakta
hussain tum pe jo...
agar hussain ki marzi na ho to sajde se
khuda gawah nabi sar utha nahi sakta
hussain tum pe jo...
hazaar le ke alam jaaye koi maidan mein
magar ali ki jo manzil hai paa nahi sakta
hussain tum pe jo...
bade bade hai bahadur nabi ke lashkar mein
zara koi dar e khyber hila nahi sakta
hussain tum pe jo...
samajh rahe thay payambar bhi jang ki surat
siwa ali ke koi fatha paa nahi sakta
hussain tum pe jo...
zaban pe naade ali aagaya mohamed ke
ke aur koi to bigdi bana nahi sakta
hussain tum pe jo...
hussain aap ka mil jaaye aastan jis ko
jabeen wo ghair ke dar par jhuka nahi sakta
hussain tum pe jo...
bin ziyad pe ilzaam qatle sheh rakh kar
koi yazeed ka daaman bacha nahi sakta
hussain tum pe jo...
rahega roze abad tak ye majlis o matam
ghame hussain zamana mita nahi sakta
hussain tum pe jo...
khuda gawah tumhari tarha hussain koi
rahe khuda mein bhara ghar luta nahi sakta
hussain tum pe jo...
mujhe bhi le chalo asghar ke ye ishare thay
mai jang ke liye maqtal mein jaa nahi sakta
hussain tum pe jo...
pidar ke qabze mein ho jiske chashma e kausar
wo pyasi beti ko pani pila nahi sakta
hussain tum pe jo...
hussain hi ki ye himmat thi warna aur koi
jawan bete ka laasha utha nahi sakta
hussain tum pe jo...
barehna sar hai behen saamne dam e aakhir
rida bhi uth ke baradar udha nahi sakta
hussain tum pe jo...
mujahid apna to emaan hai ghame sarwar
koi hamare qadam dagmaga nahi sakta
hussain tum pe jo...