hussain tere lahoo ki khushboo
falak ke daaman se aa rahi hai
ye khoon e nahaq chupega kyun kar
jise ye dunya chupa rahi hai
ye sabr tera teri ibadat
wo raah e haq mein teri shahadat
teri sadaqat ki daastanein
zamane bhar ko suna rahi hai
hussain tere lahoo ki...
tamam aalam ko ye dikhaya
kata ke gardan ko deen bachaya
magar ye ummat abhi bhi aale
nabi ko dekho sata rahi hai
hussain tere lahoo ki...
ghareeb maula ki bekasi pe
ghareeb maula ki bebasi pe
abhi talak wo zameen e karbal
lahoo se aansu baha rahi hai
hussain tere lahoo ki...
jawan bete ki laash lene
chale hai maqtal ko shaah e waala
magar zaeefi qadam qadam par
utha rahi hai bitha rahi hai
hussain tere lahoo ki...
barehna sar hai ali ki beti
magar wohi azmat e mohamed
wo jis ki khaatir bhara hua ghar
luta ke karbal se aa rahi hai
hussain tere lahoo ki...
ye kaun hai jis ki guftagu mein
ali ka lehja jhalak raha hai
ye kaun hai jis ke walwalo mein
hussainiyat jag maga rahi hai
hussain tere lahoo ki...
ajeeb hai ye karbala ka manzar
rawan hai sheh ke galay pe khanjar
zamana karwat badal raha hai
sakina aansu baha rahi hai
hussain tere lahoo ki...
hussain maidan e karbala mein
ajeeb moti luta rahe hai
jawan bete bhatije bhai
ki laashein tanha utha rahe hai
hussain tere lahoo ki...