hussain waala har ek lamha
hussain ka gham mana raha hai
aza e sarwar hai farz is par
so farz apna nibha raha hai
koi bichata hai farshe majlis
fareeza isko samajh ke apna
koi hadees e kisa ko pad kar
kare hai aaghaaz majlison ka
hai koi aisa ke rone walon
may ho raha hai shumaar jiska
hai koi aisa jo baade majlis
hame ziarat pada raha hai
hussain wala har ek lamha…
kisi ne seekha hai farshe majlis
pe aake soz o salaam padna
likha anees o dabeer ne jo
wo marsia bazm may sunana
kisi ne seekha hai shaahe waala
ki majlison se khitaab karna
jo zeb o mimbar hua hai wo hi
viqaar apna badha raha hai
hussain wala har ek lamha…
bana raha hai koi aqeedat
se taaziya aur zareeh e sarwar
wo is amal se bata raha hai
ke hai wo shaahe zaman ka naukar
saja raha hai koi to parcham
may mashk tashna labon ko ro kar
uthake phir wo jari ka parcham
wafa jari se nibha raha hai
hussain wala har ek lamha…
kisi ke hisse may aaya naame
hussain maula pilaana pani
jagah jagah par saja raha hai
ba-naame asghar sabeel koi
wo jiske hisse may aayi rakhwali
zuljanaah shahe zaman ki
wo aspe shaahe zaman saja kar
naseeb apna jaga raha hai
hussain wala har ek lamha…
koi to matam kuna hai pyason
pe majlison may bana ke halqa
ye pesh zahra ko kar raha hai
sada e matam se sheh ka pursa
kisi ne zanjeer ka kiya hai
kisi ne matam kiya qamah ka
jo de raha hai lahoo ka pursa
jo khoon apna baha raha hai
hussain wala har ek lamha…
farishte sattar hazaar nauha
kuna hai qabre shahe umam par
ye keh rahe hai ke haye shabbir
haye abbas haye akbar
usi bashar ko duayein karbobala
se dene ko aaye sarwar
jo rauza e dukhtare ali ke
difaa may jaan luta raha hai
hussain wala har ek lamha…
koi to izhaar likh raha hai
qalam se shaahe zaman ke nauhe
ye likh ke nauhe bata raha hai
ke reh gaye shaahe deen pyase
rula raha hai koi jahan ko
hussain maula ka nauha pad ke
ye nauhakhwan padke nauha sab ko
kahani gham ki suna raha hai
hussain wala har ek lamha…