Kanz e Aza

Imame Asr Jab

A noha written by Ali Izhaar. Lyrics in Roman Urdu.

imame asr jab tashreef laayein

hamay wo teen sau tera mein paayein


hum apne aap ko aisa banayein

hamay wo teen sau tera mein paayein


jhukye sar khade ho sab adab se

ho dil bhi door dunya ki talab se

nazar aaye alag hum log sab se

wo jab bhi parda e ghaibat uthayein

hamay wo teen sau...


ho dil mein yaad e abbas e dilawar

nigahon mein ho hamshakle payambar

sabhi hum pairawe mukhtar ban kar

yazeedi fikr ke sholay bhujayein

hamay wo teen sau...


kahe quran ka har ek paara

mujhe aise padha jaise ke haq tha

duayein de hamay nehgul balagha

kuch aise ilm ki shammein jalayein

hamay wo teen sau...


sabhi baatein hamari pur asar ho

bala ki dhoop mein misle shajar ho

zamane mein hum aise mautabar ho

hamay wo faqr se apna batayein

hamay wo teen sau...


gulistane imamat ki kalii ko

saqi ibne saqi ibne saqi ko

pukarein sab hussain ibne ali ko

zameer e aadmiyat yun jagayein

hamay wo teen sau...


kare cheh maah ke asghar ka matam

pukarein qasim o muztar ko paiham

rahe pyason ki khaair aankh pur nam

ghame sibte nabi aise manayein

hamay wo teen sau...


tha jis ka naujawan naizon ki zad par

tadapti bain karti thi wo maadar

wo ghar se ruqsat e akbar ka manzar

kare hum yaad aur aansu bahayein

hamay wo teen sau...


likhe qirtaas par izhaar nauha

padhe jab shadman barpa ho girya

yehi to farz hai ahle wafa ka

alam abbas ghazi ka uthayein

hamay wo teen sau...