Kanz e Aza

In Ankhon ne Dekha

A noha written by Jameel Moosavi. Lyrics in Roman Urdu.

marqad pe bayan karti thi ye zainab e dukhiya

in aankhon ne dekha

amma mai sunane ke liye aayi hoon kya kya

in aankhon ne dekha


shabbir liye aaye abaa mein jo utha kar

tha dard ka manzar

pamaal shuda qasim e naushah ka laasha

in aankhon ne dekha

amma mai sunane...


akbar ki sada sun ke jo maidan gaye thay

bhaiya thay akele

bete ke jawan laash ko laate huwe tanha

in aankhon ne dekha

amma mai sunane...


tha seena e aqdas pa chada shimre sitamgar

tha haath mein khanjar

khanjar ke talay aap ke bete ka gala tha

in aankhon ne dekha

amma mai sunane...


jab shaam hui ban mein to phir zulm naya tha

phat'ta tha kaleja

hote huwe pamaal mere bhai ka laasha

in aankhon ne dekha

amma mai sunane...


jab shaam e gariban mein jalaye gaye qaime

har simt thay shole

sholon ki lapeton mein wo jalta hua jhoola

in aankhon ne dekha

amma mai sunane...


jo zulm o sitam shaam talak karbobala se

bacchi pa huwe thay

ruksaar sakina pa wo har ek tamacha

in aankhon ne dekha

amma mai sunane...


nazron se sakina ki nigahon ko bachaye

darya ke kanare

haathon ko kataye mera abbas pada tha

in aankhon ne dekha

amma mai sunane...


hum log rasan basta phiraye gaye dar dar

be-makhna o chadar

bazaron mein bante huwe khud apna tamasha

in aankhon ne dekha

amma mai sunane...


marqad pa jameel ek qayamat ka samaan tha

zainab ka tha nauha

amma ye kaho aur sunaun tumhe kya kya

in aankhon ne dekha

amma mai sunane...