Kanz e Aza

Inkaar Na Kar

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

virse mein mila hai sabr tujhe

ye sabr to tera virsa hai


darbar mein zainab jaane se

inkaar na kar inkaar na kar


sab mehnat apne bhai ki

bekaar na kar bekaar na kar


kaandhon pe uthaale khud apni

ghairat ka janaza saydani

nana ka deen bachana hai

deni hai tujhe ye qurbani

ro kar apni takleefon ka

izhaar na kar izhaar na kar

darbar mein zainab...


honton pe agar is waqt tere

halki si shikayet aayegi

sadaat ki ghairat jaagegi

dunya mein qayamat aayegi

sone de sina par sheron ko

bedaar na kar bedaar na kar

darbar mein zainab...


tu zid pe agar adjayegi

wo tera hukm na taalega

todega badan ki zanjeerein

aur ghaiz mein taygh uthalega

abid ko behen ladne ke liye

tayyar na kar tayyar na kar

darbar mein zainab...


darbar hai ye maynashon ka

jaana mushkil hai ay zainab

batla de tere bhi seene mein

shabbir ka dil hai ay zainab

chadar ka taqaza bhai se

har baar na kar har baar na kar

darbar mein zainab...


ab poch le aansu aankhon se

allah ye mushkil taalega

jab tu hi himmat haaregi

sajjad ko kaun sambhalega

bemaar ko mere aur behen

bemaar na kar bemaar na kar

darbar mein zainab...


darbar mein honge na-mehram

chehre pa nidamat chayegi

tu dekhna mujhko naize par

teri himmat badh jayegi

mai saath hoon tere dil chota

ghamkhwar na kar ghamkhwar na kar

darbar mein zainab...


dil jaise sambhala jayega

is dil ko sambhalegi zainab

darbar e sitam mein jayegi

teri baat na taalegi zainab

ay bhai sina se ashkon ki

bauchaar na kar bauchaar na kar

darbar mein zainab...


ay aamir o aktar zainab ke

is bain mein dard zyada hai

naize pe na ro ay bhai ke sar

jaane pa behen aamada hai

har ranj sahungi tu fikre

darbar na kar darbar na kar

darbar mein zainab...