Kanz e Aza

Kaise Qaidi Hai

A noha for Darbaar e Shaam, written by Akhtar Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

kaise qaidi hai qaid khane mein

hind khud dekh kar pareshan hai


ashk aankhon mein lab pe quran hai

kaise qaidi hai qaid khane mein


malka e shaam mehwe hairat hai

khaak par noor ki jama'at hai

be ridaai se dil pasheman hai

kaise qaidi hai...


waqt rota hai gham naseebo par

jaane guzri hai kya ghareebo par

lamha lamha azeeyatein jaa hai

kaise qaidi hai...


zakhm ashkon se dho rahe hai sabhi

karbala keh ke ro rahe hai sabhi

bas tasavvar mein ek biyaban hai

kaise qaidi hai...


in pa gham ka pahaad toota hai

waqt ne haye kaise loota hai

chadarein hai na koi saaman hai

kaise qaidi hai...


sab ki aankhon se khoon hai jaari

mehwe girya hai bibiyan saari

kya hua sab ki godh veeran hai

kaise qaidi hai...


kya nahi koi gham ke maaron ka

haal mat poocho be-saharon ka

chaak bachon ka bhi gareban hai

kaise qaidi hai...


aise gham ki rida hai odhe huwe

sab hai jeene ki aas chode huwe

koi khwahish na koi armaan hai

kaise qaidi hai...


kaifiyat hai ajeeb aahon mein

sab ki bheegi hui nigahon mein

ek ujda hua gulistan hai

kaise qaidi hai...


dekh kar bekasi ka ye manzar

hind roti hai aamir o akhtar

saara zindan marsiya khwan hai

kaise qaidi hai...